Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Sapno me aakar joh neende churati hai woh,
Kaun hai,
Aapna banake joh muh mod jati hai woh,
Kaun hai,
Woh Kaun hai,
Khaboonsa lagta hai uska yun aana,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Dur kahin dekha hai maine ek chehra,
Chehra hai ya hai koi fasana,
Joh bhi hai bada hai suhana,
Daar daar ke uska yun milna aur ghum ho jana,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Kitabon mein maine pada hai,
Hota hai kahin koi aapna,
Humdum ho ya ho afsana,
Joh bhi ho saamne jara aana,
Laboon ki jiske haasi hai, kadmon ki jiski yeh aahat hai,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Chand bhi aaj nikalkar,
Karta hai teri hi duhaee,
Chandni bhi sharmakar leti hai tumhari saugatein,
Hawaoon pe kaisa jaadu kiya, behti hi jaati hain,
Hawaain bhi gungunati hai jiska yeh naam,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Aaena bhi dhundla hai,
Tumhari usko kami hai,
Sehlati ho joh aapne baaloon ko,
Aaena bhi muskurata hai,
Phoolon ki kali hai, ya mehloon ki rani hai, aakhir,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
Sapno me aakar joh neende churati hai woh,
Kaun hai,
Woh kaun hai,
Woh kaun hai,
No comments:
Post a Comment